Mazhar Fazle Rehmani

Assalaam Walaikum , Wa Rehmatullahee , Wa Barakatahu, Wa Magferatahu,
Is khaksar ka naam Mazhar Fazle Rehmani hai, ye nacheez Arif E Haq Hazrat Maulana Shah Mohameed Miya sahab (rehmatulahi alaih) ka sab say bada nati hai, aur Qutub E Waqt Hazrat Bhole Miya (rehmatulahi alaih) jo kay mere bade nana huzoor bhi hai unka Mureed hun,hamarey nana huzoor Owais E Dauran, Gaus E Zama, Qutub ul Aqtab ALLAMA WA MAULANA Hazrat Fazle Rehma Ganj Muradabadi (rehmatulahi alaih) kay par potay hai, aur Hazrat Bhole Miya (rehmatulahi alaih) kay sagey chotey bhai hai, jinki mazar e poor anwar aam kay bagh main hai, ganj muradabad station kay pass, Is website ko manzar aam par laney kay maqsad khalisatan ye hai ki Hazrat Fazle Rehma Sarkar ki bulandiyo, azmato aur karamato ko tamam logo kay samany aam kardiya jaye, Jo log hazrat ki zaat e aqdas say bepanah unsiyat rakhtay hai,unkay samnay hazrat ki sawane umri is andaz main pesh ki ja sakey ki sabki tishnagi mit jaye.

Halaki Hazrat ki zaat e aqdas wilayat ka aisa suraj hai, jis say mashriq say magrib roshan ho gaya, un par kuch likhna ka maqsad sirf itna hai ki jo log aisi buland wa bala zaat ki azmat say mehrom hai wo jaan jaye, ki hazrat kya hai aur kis kis tarah chaye insan ho,haiwant ho,nabatat ho, ya jamadat har kisi nay hazrat ki bargah say faiz paya, aur hazrat nay har kisi ki hajat rawaye ki.

Alhamddulilah Ye faizan hai mere Fazle Rehma Sarkar (rehmatulahi alaih) ka ki is khidmat kay liye unhonay nay is khaksaar ko chuna, mere nana huzoor aur badey nana huzoor kay karam say ye kaam main 2004 say anjam deraha hun, jis main hamrey waleda majeda aur mamu nay ibtedai daur main kafi madad ki. Aaj ALLAH ka shukr hai ki hazrat ki zaat e aqdas kay baray main chaye website ho, face book, youtube ho, blog ho, har jagah halat e zindagi aur tasawuuf ki talaimat post kardi gaye hai, hamary aziz dost imran shaikh sahab nay ibtedai daur main aur ab samir qadri sahab nay bhi apni mohabato ka izhar kartay huye website ko behtareen andaz main design aur upload karnay main kafi madad ki, in dono sahab ka main bada mashkoor hun, ALLAH in dono ko ajare azeem ata farmaye aur deen wa duniya main kamaybi wa kamrani ata farmaye (ameen suma ameen)

Mujhey ummed e kawi hai ki,Hazrat ki zaat e aqdas kay baray main padhkar, aap sab majboor ho jayengy unsay mohabbat karnay kay liye aur zaroor zaroor tashrif layengy ganj muradabad sharif, Hazrat ki bargah main khiraje aqidat pesh karnay.

Aap sab ki duaon ka talib

Khaqsaar Mazhar Fazle Rehmani.